Friday, 13 Safar 1431
Friday, 29 January 2010 17:59English transliteration of Urdu Article
Kahan Sunnat say sabit Hai, Sarasar yeh Zalalat hai"
Allah Paak nay insaan ko buhat mukhtasir say waqt kay liye duniya main bhaija hai!!! is ka asal thikana Aalam-e-akhrat hai!!!
wahan per hamesha rahna hai wahan kabhee maut waqay nahin ho gee! us aakhrat walee zindageee kay liye fikr karni chayye! jis shaks nay is dunya main rahtay huay aakhrat kay liye tayyarri kar leee apnay aamal, ikhalaaq-o-kirdaar ko drust karliya! halal-o-haram ko pehchan kar halal ko ikhtiyaar karliya, haram say parhaiz karliya, Allah paak nay jin jin kaamoon say mana farmaya un say parhaiz kiya wohee insaan Kamyaab hai us ki aakhrat ki zindagee bhee achee ho gee woh akhrat main khush-o-khurram ho ga, naaz-o-naimat ki zindagee basar karaiga! is kay barkhilaaf jis nay duniya hi ko maqsad-e-hayat bana liya is hee kay liye koshish karta raha halal-o-haram main imtiaaz nahin kiya! aur apnay auqaat ko khail-o-kood, lahw-olaub main aur fazool-o-baikaar kamoon main zaya kardiya us ki aakhrat ki zindagee buhat hee buree ho ge, aakhrat main us per Allah paaak ka ghazab nazil ho ga, woh azaab ki chukki main pisay ga, takleef main mubtala hoga![/color] Maujooda daur main gana bajana jis ko "Mauseeqee" kay naam say yaad kia jaata hai! yeh mausiqeee Darasal Quran aur Hadees ki roshni main Haram hai, aur yeh shaitaneee kamoon main say aik shaitaanee kaam ha! Aaj kal kay daur main yeh shaitaaneee kaam itna Ziada ho gaya hai yeh ghar main cable system, Television, Radio, tape recorder aur khusii kay mauqay per ganay bajanay ka Ahtamammam karrahay hain! yeh sara ka sara kaam Islam main haram hai! sara din log Apna time in shaitaanee kamoon main lagadaitay hai in ko yeh ehsaas tuk nahin hota kay main nay subha say raat tuk shaitaanee kamoon main tou apna waqt guzara! magar 24 ghanatay main Allah paak ka Aik farz ada kia ya nahin, hamaray kafee saray muslamaan is ganay bajanay main apna time paas kartay hain aur ghar main sara din aur saari raat cable chala kar lutf Andooz hotay hain!Allah Paak nay insaan ko buhat mukhtasir say waqt kay liye duniya main bhaija hai!!! is ka asal thikana Aalam-e-akhrat hai!!!
Allah raham karain cable system main tou buhat burayee chaaa gayee hai aur aisay channels aagaye hain kay bikul daikhnay kay qabil nahin hain phir bhi hamaray musalman apni jawan baityoon aur bachoon kay saath woh channels daikhatay hain, in ki nazar main yeh saray shaitanee kaam aik tafreeh aur maloomaaat hain!
Jo log gana bajanay aur us kay sunnay main mashghool rahtay hain un ko sochna chayye kay woh apni zindagi ko is qadar barbaad karrahay hain woh qayamat kay din Allah Paak ko kia jawab dain gay! in ki aakhirat ki zindagee kitni bureee ho gee?
Allah Paak nay Hazrat Paak (S.A.W) ki ummat kay liye gana bajanay bilkul Haram qarar Diya hai, Quran-o-Hadees main is per sakht wayeedain warid hui hain!!!
Allah Paak apnay kalam main farmata hai:
" Aik woh log hain kay khareedaar hain khail ki baatoon kay takay Allah ki raah say bay samjhay boojhay gumraah karay aur us ki Hansi Urra day aisay logon kay liye zillat ka Azaab hai." (Maaruf-ul-Quran)
Aur Jamhoor Mufassreen karam ka yehee Qaul hai kay Yeh Aayat ganay bajanay say mutalliq hee nazil hui hai! (Qurtabi, Tafseer Ibn-e-Kaseer)
Hazrat Paak (S.A.W) farmatay hain:
"Main Mazameer (ganay bajanay kay Aalat) ko torrnay kay liye bhaija gaya hoon. (Al-Hadees)
Aik aur jaga Farmaya:
"Hazrat Ibn-e-Abbas (RA) say riwayat hai kay Janab Nabi Kareem S.A.W nay farmaya kay Allah Ta'ala nay sharaab, tabla aur saarangi ko haram kia aur farmaya har Nasha Lanay walee cheez haram hai." (Masnad Ahmed)
" Ibn-e-Masood (RA) say riwayat hai kay Farmaya Rasool-u-LLah (SAW) nay kay Ganana Nafaq ko yun ugata hai jis tarah pani Khaiti ko ugata hai" ( Rawah-ul-behqi n Abi Dawood)

Aik Aur Hadees:
"Hazrat Abu Malik Aharee (Ra) say riwayat hai kay Janab Nabi Paak SAW nay irshad farmaya kay mairi ummat kay kuch log sharaab ka naam badal kar piyen gay aur un kay samnay Muazaf aur Mazameer (ganay bajanay kay aalat) kay saath aurtoon ka gana hoga, Allah Paak un ko Zameen kay under dhansa day ga aur baaz ki soortain maskh kar kay bunder Aur sooar Bana Day ga." (Ibn-e-Maja n Abi Dawood) (Majooda Zalazalay is Hadees Say sabit hain)
Bus dua karain kay Allah mujhay app ko aur saaaree ummat ko is gunah-e-Azeem say bachnay ki taufeeq naseeb farmayee!! Aur sub milkar Touba karain suchay dil say kay Aaj say ganay Nahin sunnain gay. Inshaa'allah!!!

Last Updated ( Tuesday, 17 Safar 1431 04:22 )
| < Prev | Next > |
|---|